Sunday, December 14, 2008

Ek lafz ki takat

kahe koi apni har khusi kisi ki ek hasee pe nichhavar kardeta hai.kyu koi apni har sans me kisi ka naam japta hai. kyu log aaj bhi use kaleje se lagate hai. jiske astitva se unhe aitraaz hai.kyu aaj bhi logo ke dilo me lahren umadti hai, tarange machalti hai us ek lafz ke aate he. kyu woh aaj bhi logo ke dilo me panapta hai. jab logo ko pata hai jisne bhi us paid ka bij boya hai usne sab kuchh khoya hai. kyu log aaj bhi us podhe ki kalam bacha ke rakhte hai jo komal hone bawajood duniya ko nagfani dikhta hai.kyu log aaj bhi us paak chiz ko mante hai jise woh badnaam karte nahi thakte. kyu koi apne kadam pichhe nahi hatata us dagar pe aane ke baad. jahan aage kya mile uski koi kalpana nahi ho sakti. aage kya pata khai mile ya parvat! ab khai mile ya parvat hum har tufaan ko par kar lenge. kaha se aaya yeh hosala?? logo ko ka toh kaam hai kahna , dekhenge jo hoga so hoga.humne galati nahi gunah kiya hai agar yeh gunah hai toh, agar hum galat hai toh galat he sahi. kahan se aai yeh himmat danke ki chot pe bolne ki?? humne toh komal aur sudh podha lagaya hai duniyan ko woh nagfani dikhta hai toh kya? hume pata hai hamara podha ek din vriksh bnan sab ko chhaya dega.koi use saralta se chhu ke toh dekhe woh khud use ugane lag jayega. kahan se aaya yeh apaar manobal??hamari manzil tak jane se hume koi nahi rok sakta! woh dekho hum pahuchne wale hai. kahan se aaya yeh adangya nishchaya?? humara sab lut jaye koi gum nahi hum hai na sahlenge par har na manenge. kahan se aaya yeh anutha sahas???aur jazbaton ka bhadhta ghathta sailab jo har bar aur takat de jata hai. kahan se aaya?? YEH SAB US PAAK LAFZ KI TAKAT HAI JISE DUNIYA BADNAAM KARTE NAHI THAKTI. YEH WOH LAFZ HAI JISME KHUDA DIKHTA HAI.YEH US UPAR WALE KI SABSE BEHTARIN, SABSE ALAG, SABSE KOMAL, SABSE SHUDH,SABSE MAJBUT AUR SAB PAR JEET HASIL KARNE WALA LAFZ HAI. YEH HAI PYAAR, ISHQ AUR MOHABBAT. Is duniya ki sabse anokhi chiz jissase log bair rakhne koshish achchhi karte par kamyab nahi ho pate!! iski takat aisi hai jo gum me hasana aur ek duje ki prati nishtha banaye rakhti hai. yeh aisa paid hai jiski chhao me sab rahte hai par unhe ehsaas nahi hota hai. aur jab mehsoos hota hai toh lagta hai jannat jami par aagai hai!!!! charo disha me khusi ka rang chha jata hai!

No comments:

Post a Comment