Sunday, December 14, 2008

PYAAR mein......

Har pal koi saath rahta hai par nazare ghooma ke dekhne par koi nazar nahi aata. Na jane yeh kaisi ulfat hai, koi na ho toh lagta hai koi hamraah hai aur gar mehphil ho toh lagata hai tanhaai hai. Dil me har pal ek ehsas rahta hai, ehsas jo juba par aane se inkar karta hai, par bolta jism ke rom-rom se hai.. Kadamo ko pata bhi pata bhi nahi chalta ki kab woh milo ki duriya tay kar aa gaye yahan, jahan har cheez haseen hai, aur ab kadam he bas me nahi, woh toh har dahliz paar kar jana cahate hai... aur dil bhi un kadamo ka he saath deta hai. khwab aur haqikat me fark karna mushkil ho jata hai. Kabhi- kabhi sach lagata hai ek dum khwabo sa aur kabhi aisa lagta hai jo khwabo me bhi na shota tha.Sach sapna aur sapana sach lagta hai. Us pal me waqt bhi gata hua kahta hai sama lo in palo ko khud me kya pata dubara mile na mile... silsiley kahan se shuru hue yeh kahan yaad rahta hai! Kuchh yaad rahta hai toh woh hai tammanaa umra bhar saath nibhane ki. kuchh ajab si khwaishe umadti hai mann me, jo mann ko bechain kar deti hai. Dil ki duniya me uthal-puthal macha deti hai. par yeh uthal-puthal surili hoti hai. Har halchal me ek madhur dhwani hoti hai jo bajti dil ke taar hilne se. jab humsafar saath ho toh manzil ko pana aasan ho jata hai, par manzil kise yaad rahti hai phir toh raaste he manzil ban jate hai aur lagta hai ki yeh safar kabhi khatm na ho....

No comments:

Post a Comment